Monday, November 1, 2010

Ghadi ke alarm se meri neend khul gayi, 4.45 ka alarm lagaya tha, bina kisi laparwahi ke usne apna kam kar diya tha. Maine anichha se apni neend todi aur jaldi jaldi prarambhik karya kar ke makan ke bahar aa gaya, ghar par sabko sota chhod kar siddharth ki tarah. Magar siddharth ki tarah salo bad nahi, kuchh ghanto me vapas lautne ke liye, Motorcycle ki roshni me mai dhire dhire ganga ghat ki taraf badane laga, jaise jaise mai aage badta  ja raha tha, suraj ka abhas bhi badta ja raha tha,kuch hi samay bad mai ghat par pahuch chukka tha. Bada hi achha lag raha tha, idhar udhar thoda tahalne ke bad maine jor se sans le kar ganga ki samne vale sidiyo par baith kar, suraj ke aane ka intjar karne laga, logo ki ava jahi bhi badne lagi thi, mere pahuchne se pahle hi kafi log naha kar laut chuke the, jo mujhe raste me mile the, mandir ki ghantiyo ki awaj, kafi madhur lag rahi thi, pichhle din ka feka gaya kafi kachra idhar udhar faila pada tha, maine apna dhyan samne aasman par kendrit kar diya, vaha ka rang badalne laga tha, dhire dhire kano me mandir ki ghantiyo ki jagah logo ki awaj aane lagi, chay vale ki sabse jyada, samne hi pande ne apni chhatri kholne ka upkram chalu kar diya tha, lal rang ka kapda pahne, mathe par bhasm lagaye, gale me na jane kitni rudraksh ki mala pahne, apni chhatri ko sidha kar raha tha, chatri ke niche ki chauki par ghise hue chandan aur lal tika nariyal ke katoro me rakkhe hue the, kuchh kanghiya,kuch aaine, usne awaj lagai, “abe nakatua, idhar aa”, maine ghoom kar dekha ek admi hatho me akhbar ka bandal liye hue daudta hua aaya, “ka maharaj”, pakad thoda chhatri,”sidha kar, dekh kaha fasal hau, abe jaldi kar, akhbar rakh vaha”, nakataua akhbar rakhne ki jagag khojne laga, charo taraf pani ka gilapan, aur gandgi, bechane vala akhbar ko kaha rakhta? ek purane pade bade se kagaj par jo abhi gila nahi hua tha,use chabutare par rakh kar usne apne hath ke akhbar ke bandal ko us par rakh diya aur daudte hue aaya, thodi hi der me uske prayas se pande ki chhatri lag chuki thi, “chal bhag yaha se”, nakatua ke kano me shayad uski ye abhadrata nahi padi, vo akhbar bechane me mashgool ho gaya, pande ne shiv ki mudra dharan kar li thi, log aate chandan lagwate, kuch hath me jal le kar sankalp karte , kuchh aa kar rakkhe aaine me apne balo ko jhadte aur kuch paisa rakhte ,kuch pair chhute aur kuch yu hi chale jate, samne aasman ka rang narangi hota ja raha tha, tabhi maine nakatua ko sidiyo ke pichhe soye ek kaya ko lat marte dekha,”chal uth re, kab tak sutabi”, kafi der tak uske na uthane par usne uske sharir se chadar khich diya, ek mahila aur ek chhota baccha, mahila ki umr karib 30 sal aur bacche ki umr 7 sal ki rahi hogi, dono ne aankh michte hue naktu ko dekha, unko utha kar nakatu ek grahak ko akhbar dene daud pada, maine bhi usase ek akhbar liya tha, par abhi roshni ki thodi kami thi aur mai bhi suraj ke intjar ka anand utha raha tha, tabhi naktu ko ek chay vale ko kahte dekha”2 chay vaha de de” uska ishara us mahila aur bacchhe ki taraf tha, meri nigah ab aasman par gad chuki thi, navo ka avagaman bad chuka tha, bhid badne lagi thi, log mere agal bagal se bhige hue kapdo me gujarane lage the,  naktu hath me bread le kar unke pas ja kar baitha tha, shayad vo uska pariwar tha, dono bahut magan the,  bread ko chay me dubo dubo kar kha rahe the, chay me dube bread ne hi unke danto ko saf karne ka kam kar diya tha, kuch kutte bhi agal bagal aa kar khade ho gaye the,sabhi apni dum hila rahe the, mano kah rahe ho “akele hi akele”.mai idhar udhar dekhta raha, roshni ho chuki thi, maine akhbar khol kar uske pratham panne par apni nigah gadai, tabhi mere samne se nakatua ka baccha daudte hue gaya, meri aankho ne uska pichha kiya, udhar sidiyo ke pass baith kar usne shauch karna shuru kar diya tha, chay aur bread ne apna kam kar diya tha, bhojan pane ke bad, uska tyag bhi jaruri tha, log uske agal bagal se gujarate rahe, mujhe achha nahi lag raha tha, maine akhbar me apni najar gada di, mukhya prishth par likha tha “ GANGA KE GHATO PAR AGAR GANDAGI HUI TO DM NAHI BAKSHE JAYENGE”, suraj nikal chuka tha.jhadu vale ke jhadu se nikli dhool ne, ek alag hi sama bandh diya tha.

No comments:

Post a Comment